Tuesday, 16 September 2014

Smallest Country Of The World

Intresting And Smallest Country Of The World




Dunya men bht sary countries apni alag alag identity rakhty hen or khud mukhtar bhe hen. Lekin dunya men aik aisa country bhe hai jo sb sy alag hai or bilkul aik choty behri jahz k brabar hai. Ye mulk aik be inteha wasi samandar k darmeyan waqe hai. Is country  ki kul abadi sirf 22 afrad pr mushtamil hai. Is country ka apna aik Shehzada or aik Shehzadi bhe hai. Is mulk ny 1967 sy apni


azadi ka elan kr rakha hai. Sealand name ye country British k sahilon sy door hai or aik international Sea men located hai. Is Country ki apni he currency hai or apna Dak ticket hai or apna national anthem bhe hai.darasal ye aik Qila hhai jo k 2sri jang e azeem k bad fatah kia geya jo k British k aik saqbiq major Raey Bates ny fatah kia tha. 1950 k bad esy khali chor diya geya tha.
Ta ham bad men Raey Bates ny mahi geeri ki hobbies ikhteyar kr li the lekin British government ki pabandiyon sy tang akr usny apni aiki alag reyasat qaem krny ka mansooba bna lia tha. Raey Bates ny apni wife k sath yahan rehaish ikhteyar krty huey isy aik alag reyast qarar dy diya tha british sy. Raey Bates or uski wufe yahan k pehly Malka or Badshah bny. Concrete k 2 satoon oer us pr lohy ka aik bara tukra he is mulk ki kul zameen hai. Yahan k log zyada tr pani khud he saf krty hen or apni zyada tr khurak or mukhtalif asheya British sy he import krty hen. Is Countryamadni ka sb sy bara zariya online shop hai jhan ye log apni asheya wagaira sell krty hen. Ap taqreeban 200 Pound dy kr is reyasat k Nawab bn skty hen is sb sy munfarid reyasat ka khna hai k Gernmany or Farance ny is reyasat ko tasleem bhe kr liya hai. Raey Bates ki death k bad uska beta MiKal ab is reyasat kaKing hai.


No comments:

Post a Comment

Apple has sold over 3 billion iPhones globally

  Apple has sold over 3 billion iPhones globally To date, Apple has sold   over  3 billion   iPhones globally. In 2024 alone, Apple sold   2...